Wednesday, August 3, 2011

Zindagi

kabhi hasaaye kabhi rulaaye,
kabhi jaage kabhi sulaaye,
daud daud kar haanf haanf kar,
kabhi neeche kabhi upar le jaaye,
choti choti baaton mein sachi lage zindagi,
thodi si hi sahi, par achi lage zindagi

aaj iss rah chale, kal nayi manzil bulaaye,
kuch rishte saath chale, kuch chute bin bataayae,
kabhi tanha kate, kabhi bheed mein kho jaaye,
haath baandhe kahin, toh kahin pankh failaaye,
hazaaron umeedon par kachi-pakki yeh zindagi,
sek sek kar hai guzari, kyun na achi lage zindagi

har din ek naya rang, ek naya dhang dikhaaye,
sapnon ki gaadi, kabhi roke toh kabhi bhagaaye,
kabhi nazdikyaan toh kabhi dooriyaan badhaye,
jahan dum nikle wahan nayi subah le aaye,
kabhi hunar toh kabhi nadaani lage zindagi,
anjaani hi sahi, aakhir ruhani lage zindagi

No comments:

Post a Comment