Ek se ek kalakaari ka namuna pesh karte hain,
woh udhar uchalte hain, hum idhar uchalte hain,
garam leharon par kabhi neeche toh kabhi upar dulte hain,
hum udhar uchalte hain, woh idhar uchalte hain,
kabhi lohe ki deewaron se, toh kabhi khud se hi uljhate hain,
woh udhar uchalte hain, hum idhar uchalte hain,
rol-pol kar, doob-tair kar, naram se sakhat bante hain,
ande aise hi ubalte hain, hum ande aise hi ubalte hain …
Many a times in our lives, when some incident happens, it not only moves or surprises us but also leaves us with many questions in our mind or sometimes gives us the solution of many complex problems. And if we remain shaken or stirred at that moment, it gives us the long lasting memories and has one impact or the other in our daily lives. This blog pockets not only the shaken but those stirred moments of life.
Friday, October 8, 2010
Thursday, October 7, 2010
Khoj
Ek nayi nadi, ek naya kinara dhoondhna hai,
Zindagi jeene ka sahara dhoondhna hai,
Aaj iss dagar toh kal nayi raah par chalna hai,
Iss bheed mein apne hone ka bahana dhoondhna hai,
Choti –badi har unchayi ko choo jaana hai,
Kabhi rukha toh kabhi mausam suhana dhoondhna hai,
Tedhe-medhe inn raaston par apne nishaan banaker,
Yunhi chalte manzil ka thikana dhoondhna hai,
Har gali- kuche, har makaan, har galiyaare se,
Teri-meri dosti ka guzra zamaana dhoondhna hai,
Kuch der saath chalna, kuch der yun haath pakde thamna,
Bhule bisre ishq ka fasaana dhoondhna hai,
Shor, nafrat, matlab se bhari iss duniya mein,
Sukoon ke do palon ka tarana dhoondhna hai,
Jahan zindagi se maut asaan lagne lage,
Uss jalti bujhti lo ka parwana dhoondhna hai
Jo rishte tutt gaye, jo haath choot gaye,
Woh beeti yaadon ka aashiyana dhoondhna hai …

Ishq Ki Leher
Ghame ishq ki lehar iss kadar pheli hai zamaane mein,
Ke har koi dil liye aansoon bahata nazar aata hai,
Kissi ko jannat mili, kissi ko manzil ka nishaan,
Toh koi khaaq se haath malte nazar aata hai
Koi shikaar dhoondhe, toh kabhi shikaar khud bane,
Yeh tabahi ka manzar bada dardnaak sa ho jaata hai,
Kissi ki ibaadat toh kissi ka junoon,
Har dua mein uska deedaar nazar aata hai
Taqdeer se pehle aur takreer ke baad,
Na iske aaghaaz ka pata, na koi anjaam nazar aata hai ...

Subscribe to:
Posts (Atom)