Tamasha, tamasha si yeh zindagi,
Jiske khiladi bhi hum hain,
Aur anari bhi hum,
Jisme Raja bhi hum hain,
Aur bhikhari bhi hum,
Jiske kalaakaar bhi hum hain,
Aur sakshaatkaar bhi hum,
Jiski taaliyaan bhi hum hi hain,
Aur peeth peeche wali gaaliyaan bhi hum.
Tamasha, tamasha si yeh bandagi,
Jiski ruh bhi hum hain,
Aur uske qatil bhi hum,
Jiski ibadat bhi hum hain,
Aur dehshatgaar bhi hum,
Jiski dua mein bhi hum hain,
Baduaa ke hissedaar bhi hum,
Jiski aazaan bhi hum hain,
Aur maut ke farman bhi hum.
Tamasha, tamasha si sab mehfilein,
Jiske nayoute bhi hum chahein,
Jisme shareek hone se ghabraayein,
Jiski chamak se sab jagmagaaye,
Itni chamak, ki aankhein dabdaba jaayein,
Jiski chugliyaan toh hamein bhaayein,
Par raaz khulne ki sharmindagee sataaye,
Jiska shor ek aadat si ban jaaye,
Par jiski bheed bhi tanha kar jaaye,
Roz ek mukhota pehan,
Ghar se nikalna majboori hai,
Roz naya dao zindagi ka,
Khelna bhi zaroori hai,
Toh isilye,
Barkaraar rahe yeh mehfilein,
Barkaraar rahe yeh bandagi,
Barkaraar rahein sabhi tamashe,
Aakhir tamasha hi toh hai zindagi !
No comments:
Post a Comment