Jo aankhon ki nazar mein aata hai, woh dekhte hain,
Jo zubaan par daud lagata hai, woh bolte hain,
Jo shor sunayi deta hai, woh sunte hain,
Aur jo log samjhaate hain, woh hi samjhte hain.
Dil...
Dil ke darwaaze toh band hain,
Aankhein andhi aur zubaan tang hai,
Kaano tak sirf dhak dhak hi pahunch paati hai,
Dil ki baat aakhir kisse samajh mein aati hai.
Neki kar dariya mein daal to suna hoga,
Ussi dariya mein dil apni chaabi dhundhta hoga,
Doosron ki sunte karte, yeh dariya bhar diya humne,
Iss bhanwar mein phans kar, yeh kya kar diya humne.
Kabhi sindbad bane,
Toh kabhi hanuman jaise ud chale,
Kabhi aladin ka chiraag dhundhne,
Sheikh-chilli se sapne bunne,
Woh khawaab kahin phir phurr ho gaye,
Nadaan bachon se, na jaane kab bade ho gaye,
Chutta peeche chamakti aankhon ka rela,
Khatam hue kisse saare, dil reh gaya akela,
Laga taala, chaabi dariya mein di daal,
Peeche mud kar na dekha, kya hua dil ka haal.
Ab sirf dhak dhak ko hi dhadhkan bolte hain,
Aksar kinaare reh kar hum dil ki chaabi tattolte hain.