Ek nayi nadi, ek naya kinara dhoondhna hai,
Zindagi jeene ka sahara dhoondhna hai,
Aaj iss dagar toh kal nayi raah par chalna hai,
Iss bheed mein apne hone ka bahana dhoondhna hai,
Choti –badi har unchayi ko choo jaana hai,
Kabhi rukha toh kabhi mausam suhana dhoondhna hai,
Tedhe-medhe inn raaston par apne nishaan banaker,
Yunhi chalte manzil ka thikana dhoondhna hai,
Har gali- kuche, har makaan, har galiyaare se,
Teri-meri dosti ka guzra zamaana dhoondhna hai,
Kuch der saath chalna, kuch der yun haath pakde thamna,
Bhule bisre ishq ka fasaana dhoondhna hai,
Shor, nafrat, matlab se bhari iss duniya mein,
Sukoon ke do palon ka tarana dhoondhna hai,
Jahan zindagi se maut asaan lagne lage,
Uss jalti bujhti lo ka parwana dhoondhna hai
Jo rishte tutt gaye, jo haath choot gaye,
Woh beeti yaadon ka aashiyana dhoondhna hai …
No comments:
Post a Comment