Ghame ishq ki lehar iss kadar pheli hai zamaane mein,
Ke har koi dil liye aansoon bahata nazar aata hai,
Kissi ko jannat mili, kissi ko manzil ka nishaan,
Toh koi khaaq se haath malte nazar aata hai
Koi shikaar dhoondhe, toh kabhi shikaar khud bane,
Yeh tabahi ka manzar bada dardnaak sa ho jaata hai,
Kissi ki ibaadat toh kissi ka junoon,
Har dua mein uska deedaar nazar aata hai
Taqdeer se pehle aur takreer ke baad,
Na iske aaghaaz ka pata, na koi anjaam nazar aata hai ...
No comments:
Post a Comment